Bhoolne wale se koyi keh de zara,
Is tarah yaad aane se kya fayeda, Jab mere dil ki duniya basti nahi, Phir khyalon main aaane se kya fayeda, Aasra de ke dil tor te hain mera, Is tarah sataane se kya fayeda, Mujh pe bijli girao to jaanu sahi, Aashiane par girane se kya fayeda |
Hasti aaankhain, hastaaa chehra
Ek mujboor bahana hai Chaand me such mouch, noor kahan hai Chaand to ek viraana hai Mujhko tanha chor ne waale Tu na tanha rah jaye Jis pe tujh ko naaz hai itna Uska naaam zamana hai |
Na jee bhar ke dekhaa na kuch baat ki,
badi aarzoo thi mulaqaat ki, Kaye saal se kuch Khabar hi nahin, kahaan din guzaaraa kahaan raat di, Main chup tha tou chalti hawa ruk gayi, zubaan sab samajhte hain jazbaat ki, Sitaaron ko shaayad khabar hi nahin, musaafir ne jaane kahaan raat ki... |
Mana teri nazar mein tera pyaar hum nahi,
kaise kahen ki tere talabgaar hum nahi, Khud ko jala ke khak kar dala, mita diya, lo ab tumhari raah mein dewaar hum nahi, Jis ko sanwara humne tamannaon ke khoon se, gulshan mein us bahar ke haqdaar hum nahi, Dhokha diya hai khud ko muhobbat ke naam se, kaise kahen ki tere gunahgaar hum nahi..... |
Aisa lagta hai zindagi tum ho
Ajnabee, kaise ajnabee tum ho? Main zameen par ghana andhera hoon Aasmaanon ki chaandini tum ho Ab koi aarzoo nahin baakee joostjoo meree aakhree tum ho Doston-se wafa ki ummeeden! Kis zamaane ke aadmee tum ho? |
Wednesday, 2 January 2019
New Serious(General) Shayari 2019 by Shayari dunia
Tags
# New 2019
About Luv Shayari
Thank you for visiting Our website and come again. Share your feelings with us, send email to shyari4u@gmail.com
New 2019
Labels:
New 2019
loading...
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
No comments:
Post a Comment